Azhar alam, 4 september 2014
Aksar waqt ki Aasara me halaat badal jate hain
Insaan ke jazbaat me alfaaz badal jate hain
Pade na Kadam zameen pe bulandi pe ja pahuncha
Wahi toot kar ek din sare bazaar bikhar jate hain
Azhar alam, 25 july 2014
Likh diya hai naam mere naam ki tarah
Kar gaya ye kaam bhi har kaam ki tarah
 
Main bhi kaatib tha ek zamaane ka adeeb
Tohfe me de gaya kalam aan baan ki tarah
 
Usne chhed di mujhe ghazlon ki waar se
Takraata raha har waar daro deewar se
 
Likh deta shahro saaj ek shaam ki tarah
Tha dil me pukhtagi mere imaan ki tarah
 
Nafrat nahi tha mujhko kabhi us daur me
Ye sila mila hai chahat me jaam ki tarah
 
Keemti waqt dekar kharide the kuchh khawab
Bik gaya har khawab saajo samaan ki tarah
 
Azhar alam, 22 july 2014
Abae talkh ki nisbat mujhe bekraar kiya hai
Is hararat me jaam nafsh nisar kiya hai
Arzmand bhi tha mai par nazarah kuchh ajeeb hua
Ye manzar usne kayam saro bazaar kiya hai
Kya pata tha badle ki aag sulag uthegi aaj
Usne bade mijaz se ye waar kiya hai
Zehan me aabad hai beete fasane aaj bhi
Ajeeb waqt ki fitrat ne ye qarar kiya hai
Maine dakhal diya tha kisi zamane ke azhar
Aur aaj usne paimana aar paar kiya hai 
Azhar alam, 21 july 2014
 
ہوا  ہے  ''ح ''سے  مطمئن  اور  "ن"  سے  نوجہ  نساط کو  اسنے
دغا  تھا  "د "مے  تو '' و " بھی  کچھ  کم  نہیں  اسمے
صدا  "س " کی  ادین  سے " ت " کبھی  تابط  نہ  کر  سکا
"ن"  کو  ملنے  کے  بعد  لفظ  مے  کوئی  گنجائش   نہ  کر  سکا
ملے  یہ  حرف  تو  ایک  عجیب  سا  لفظ  ہندوستان  بنا
 
تعجب  نہیں  کوئی  کی  یہ  شہروں  کا  گلشتا  بنا
Azhar alam, 19 july 2014
Chalte rahe shan se kabhi dagha nahi kiya
Waqt ne waqt se kabhi juda nahi kuya
 
Tabiyat mila seher se seher tak is kadar
Usne faqat waqt ka haq ada nahi kiya
 
Milna tha mukaddar me arsh se farsh tak
Ishteyak se usne khud ko raza nahi kiya
 
Wo bahut aziz hai mere kyun kare aisa fitna
Bakhuda usne mujhe kabhi juda nahi kiya
 
Logo ne jod diya mujhe baghawat ki dor se
Har simt yahi kahte rahe koi khata nahi kiya
Azhar alam, 19 july 2014
har shahar me mujhe ek chand dikhta hai
har mahfil me tumhara naam dikhta hai
 
mujhe tumhari kamyabi pe naaz hai janejaan
har pal tumhare aane ka aas dikhta hai
Azhar alam, 19 july 2014
Jab maine apne gulab ko haseen sa gulab diya
Ye nazara dekh kar chand bhi sharma gaya
 
Bikher di chandani hamari sadakat ke waste
Uska noor sa chehra bahut khoob nazar aaya
 
Azhar alam, 19 july 2014
Wo byan kar gaya ek manzar aligaar se
Har pal ko trasha or arz kiya apne yar se
 
Kya pata ye sila milta hai dil lagane ka
Pyar ki kashti ko utara tha bade pyar se
 
Jakham jo banta hai wo dikhta nahi jism pe
Or abae chashme bhi rukta nahi abesaar se 
 
Aksar roshni se ek aas dikhti hai zindagi ki
Chiraghein jalaei baitha hai us intezar se
 
Arzemand hai wo sabar rakhte hai nasaaz ke baad
Jeete hai wo hamesha akubat ke ashrar se
 
Qamar ki chandani rato me wo pal yaad aye to 
Dua karna ki shifa mile parwar digar se
 
Azhar alam, 19 july 2014
Tamam tazkirah me azeem tajkirah hai dosk ka
Mano to sabse ohda or nirala safar hai dost ka
 
Dosti me har sakhsee pahlu ka zikra kar lete hai log
Itemade itna hai ki dil se qadar karte hai dost ka
 
Kabhi tabit karke lagta hai zamane me kuchh talaf kiya
Milne ke baad utna hi fikr maloom hota hai dost ka
 
Kisi ke dosti ka tazkirah jab bhi dekhta hu main
Guzastah zamane ka manjar nazar ata hai dost ka
 
Tumne to dosti ka har farz kamil ki hai Azhar
Is hayat-e safar me hamesha mutaffir ho dost ka
Azhar alam, 17 july 2014
Yu to har lamho ko sanwara tha is kadar,
Kamyab zindagi ko magmoom kar gaya koi.
 
Usne ijhare mohabbat kiya hi kyu tha,
Is alam me mujhe posidah kar gaya koi.
 
Tumne to use chand se umdah samjha hamesha,
Is chand si roshni ko bhi gamgin kar gaya koi.
 
Tumne badi zafukash se bhula diya us manjar ko,
sabik us chiragah me magloob kar gaya koi.
 
 
Sabar rakhne walo ko manjil dikha de ya rab,
sare jahan me ye dua kar gaya koi.
 
Terms of use | Privacy policy | Contact
Copyright © 2010 truml.com, by using this service you accept terms of use.
31 october 2025
wiesiek
31 october 2025
Jaga
30 october 2025
wiesiek
29 october 2025
wiesiek
28 october 2025
wiesiek
25 october 2025
wiesiek
24 october 2025
wiesiek
23 october 2025
wiesiek
23 october 2025
wiesiek
22 october 2025
Jaga